Khandhar Poem by ramesh rai

Khandhar

khandhar mein chhipa hai
bite huye din ki baat
kal kya hua khandhar batlaata hai

satya, kal ka khandhar
aasha ka roop
niraasha ka ant hai
jivan ka shuruaat hai

Khandhar!
har pathik ko batlaata hai
apna ateet ka gaurav

Khandhar batlaata hai'
samay ke aayaam ko

khandhar puchhta hai
aane wale vawishya se
uska vartmaan kaisa hai
bas khandhar jaanata hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success