Kya Karen Shikwa Poem by Pushpa P Parjiea

Kya Karen Shikwa

Kale ghire se badlon ko
Hawa ke tufano ne juda kiya

Jo barasne ko the teyar unhe
Aandhi ke Thapedo ne sukha diya.

Chhoti chhoti si barsati bund jaise,
Chhote chhote se armano ko hawa ke tufan Jaise is sansar ke logon ne kuchal diya.

Fir vo kahne lage jinda to rakga hai
Tumhe. Kahan hamne maar diya.badi hi bemurrvat adaa se dheere se ye hame samjha diya.

Jab swarth the unko hamse, unhone hame Apnaa bana liya.

Tha dil ye masoom jo nakaabi chehre ko hamne sahi Samajhliya.

Unki jarurat ke mutabik har pal kimat Lagadi hamare sneh ki eisa sila hame diya

Jab jab jindagi ke mod par swarth ke badle jhutha pyar paya khush ho gaye ham or dil Bahla liya.

In lamhon ne kiya tab ek sawal khud se hamne Ki kyun hamne kabhi kisise koi shikva naa kiya.


Soch liya shayad is dil ne ki jo diya khuda ne diya.Har sukh har dukh ko, maan prasad eshwar ka sir aankho par chadha liya.

Is vajah se hi gamo ko gholkar pee gaye jivan bhar youn ham. Dunia ne dekha or meera bai kahkar hame is dunia se bida kiya.

Ab sochte hai jate jate bhi ki aakhir jindagi ne hame kya diya? Sahne ka fal ya dard na batlaane ka sila diya.

Monday, December 17, 2018
Topic(s) of this poem: abc
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
ABC
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success