Life Cycle (Zindgi Ka Chakar)a Poem By Des Monia In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Life Cycle (Zindgi Ka Chakar)a Poem By Des Monia In Hindi/Urdu Translation

muje bilkul sahmaj nahin
kab tu ne teh kiya muje dukh deno ko
aur kyon
kya guzra jab tu ne darwaazay
khiDkian aur bindliaN bund kar deen
saara ka saara ghar zameen pe aa gira
tab se bahut baar barish hue hai
baDi baraf paDi hai
naya ghaas ugaa hai
shabnam is pe paDi hai

muje bilkul samaj main nahin aata
kaisy ek dum sub chup chaap ka cHaya aaya
main tere pyaar main doobi thee
mera pyaar pehli mulakkat ka sa tha
manjhala, manjola tha aur unt tak tha
nahin koi unt na tha
sub vartmaan kaal main tha, isi sthan pe tha
aur jo ab bacha hai sirf ek khaali jagah hai
jalaa hua glass hai
jahan main tera intzaar kar rehi hoon.

Thursday, April 18, 2019
Topic(s) of this poem: heartbreak,love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success