Maa...Teri Yaad Poem by abhipsa panda

Maa...Teri Yaad



Tujhe tang to maine kaafi kiya,
phir bhi mere jaane pe roti rahi.
Jaane anjaane kitna taklif diya,
phir bhi haste haste sab sehti rahi.

AAj rone ko bahut dil karta hai,
par ye lamhe mujhe rone bhi nahin dete.
Teri god me sone ko man karta hai,
par halaaten tujhse milne hi nahi dete.

kabhi tujhse kaha nahin Maa,
par ye duri mujhe bhi khalti hai.
Tu to Papa ke paas roti hai Maa,
par mujhe wo bhi naseeb nahin hoti hai.

Tujhse jo jhagad ke roothti thi,
aaj usi karam pe roz roti hun.
Paas jab thi to itna sataati thi,
ki wo yaad kar rote huye soti hun.

Teri seva karne ka mauka gawa di,
ab tujhe dekhne ko tarasti hun.
Jo galti apni zid me kar di,
ab usi par pachtaati rehti hun.

Saturday, May 9, 2020
Topic(s) of this poem: mother daughter
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success