Mere Bhole Sajna Thehro Kutch Sunte Jao Poem by Akhtar Jawad

Mere Bhole Sajna Thehro Kutch Sunte Jao

Rating: 5.0

Khali pet mat jana bakery mein sajna
tumhein gandi cheezein bhi achi lagein gi,
gande andon ke cake,
aur cancer mein mubtila karne wale rangeen lolly pop,
thehro kutch khila doon phir jana.

Mere bhole bale sajna,
aitdal tamam ikhlaqiat ki rooh hay,
tawazun is kainat ki chabi hay,
achai ki ziyadti bhi buri hay,
is usool se kutch bhi mubarrah nahin.

Sajna apni pichli ghaltion se kutch seekho
wuhi ghalati dohrate ho,
is aas per ke shayad,
is bar nataij mukhtalif hon ge,
yeh pagalpana hay.

Sajna bad ko badtareen mat banao
ab to yeh pehle se bhi ziyadah
bura dikhne laga hay
tumne ise sudharne ke chakkar mei
ise aur ziyadah bigad diya hay.

Sajna kamzor lamhon mein faysle mat karo,
jab had se ziyadah khush ho,
koi bhi wadah mat karo,
jazbat ki aandhi tham jane do,
muatdil kheyalat ki barish ho jane do.



Jo kutch suno usper yaqueen mat kar liya karo
dalial aur suboot talab karo,
yeh mat dekho kaun kah raha hay,
yeh dekho keya kah raha hay
is ekeesveen sadi mein agar jeena hay.

Sajna jo aag mazi mein lagai gayee thee,
ab na to usmein lakdian dali ja sakti hayn
aur na use bujhaya ja sakta hay
rakh ke dher ko mat chedo,
aag phir bhdak sakti hay..

Aagahi sabse badi quuat hay
yehi wajah hay mazhab aur siyasat ke thekedar,
yeh siyasat dan, mazhabi ihkamat ko
apni pasand ka libas pahnane wale,
tumhein goonga aur bahra dekhna chahte hayn.


Ache bano, khoobsoorat dikho,
khush raho yehi meri nasihat hay
ache aur khoobsoorat logon ko
khushi dhoondhni nahin padti
unke pas khushi khud chal kar aati hay.

Friday, September 2, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Kelly Kurt 08 September 2016

Thank you, my friend, for honoring me with your translation of my poem

0 0 Reply
M Asim Nehal 08 September 2016

Superb translation and I agree with Rajnishji's comments.... You did an excellent job by translating it with original meaning and purpose.

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 03 September 2016

A beautiful poem, nicely translated.

1 0 Reply
Rajnish Manga 03 September 2016

Excellent job done by way of this wonderful translation of Kelly Kurt's poem 'Advice (Senryu Series) . Above all, this poem also brings to us the beauty and the flavor of the original poetry quite succinctly. Thank you Akhtar Jawad Sahab. I quote a few lines as below: Khali pet mat jana bakery mein sajna thehro kutch khila doon phir jana. ache aur khoobsoorat logon ko khushi dhoondhni nahin padti unke pas khushi khud chal kar aati hay.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success