Mujhe Dost Kahkar Bulao Poem by Bano Ali

Mujhe Dost Kahkar Bulao

Rating: 5.0

Mujhe dost kahkar bulao, tumhein keya khabar,
Dosti ek peyara sa mashroob hay,
Garmion mein yeh sharbat ka hay ek glass,
Aur barsat mein chaiy ka ek cup,
Sath mein hon pakore to keya bat hay,
Yeh phalon ke araq si khizaon mein hay,
Sardion mein thithurte kisi dost ko,
Ek kafi ka peyala pilaya karo,
Sath jiske bhune kajuon ka maza,
Koi mausam ho pani hay mashroobe Adam,
Aansuon se bhari ankhein dhul jaen gi,
Dosti ek atia hay Allah ka!
Ikhtimame safar dost kam aaye ga.

This is a translation of the poem Call Me A Friend by Akhtar Jawad
Tuesday, May 26, 2015
Topic(s) of this poem: drink
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 26 May 2015

This poem is a translation of Akhtar Jawad's poem Drink.

0 0 Reply
Kavita Singh 07 September 2016

dost on se hi zindagi roshan hai, warna es duniya ki bheed me hum roshni ka chirag kaha dhundhte... nice poem

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 31 August 2016

WAH KIA KHOOB KAHNEY HAI...AUR VO BHI TRANSLATION ME...

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 12 June 2015

I thank to Mr Akhtar Jawad for origin of the poem and to you for translation of this. Read and enjoyed.

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 12 June 2015

Dosti ek peyara sa mashroob hay, Garmion mein yeh sharbat ka hay ek glass, Aur barsat mein chaiy ka ek cup hay, Sath mein hon pakore to keya bat hay, .......I like these lines very much. Actually Friendship is like a cup of tea in rain or a glass of serbet in heatwave. Very nicely composed. A beautiful poem in Hindi.Many thanks for posting. .....10

0 0 Reply
Akhtar Jawad 26 May 2015

A beautiful Translation.........................10

0 0 Reply
Close
Error Success