Parda Woh Kar Gaye! ! ! Poem by M. Asim Nehal

Parda Woh Kar Gaye! ! !

Rating: 4.9

JaaN ke bhi wo kyun maNte nahi
AnjaaN is tarah hai ke Jaante nahi

Choo gayi kaise unki khusboo in saanso ko
Mehka kab tha Dil unka ye parwante nahi

Dekar nazron se ek halka sa Ishara
Moo ko mode rakha hai jaise pehchante Nahi

Likhe jo khat maine unhe, padhkar wo rakh liya
Bhole bane hai aise ke, Hal-e-dil Jaanta nahin.

Koshish tamaam apni bhi kuch Nakaam yun hui
Mehfil khatm hui to parda woh kar gaye.

Friday, April 22, 2016
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 20 August 2016

Dekar nazron se ek halka sa Ishara Moo ko mode rakha hai jaise pehchante Nahi.. wah waah.. kia kahneu hain janab...lagta hai di ki bath izhar e bayan kar rahe hai...mazaa aagaya..

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 29 April 2016

Likhe jo khat maine unhe, padhkar wo rakh liya Bhole bane hai aise ke, Hal-e-dil Jaanta nahin. khoobsurat sher aur dilkash kalaam. kuch gile kuch shikve aur ik taweel intezaar. Bas yehi muqadar ban gaya. Dheron daad.o tehseen.10 plus

1 0 Reply
T Rajan Evol 28 April 2016

Likhe jo khat maine unhe, padhkar wo rakh liya Bhole bane hai aise ke, Hal-e-dil Jaanta nahin., , , , lovely.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success