jo kuch bhi us k dil main aata hai
bina kisi dar dil se likh deta hai
mohabbat main dooba ho mayoosi main paDa ho
apne dil se likh kar dil hamara le leta hai
mohabbatuski hamari bun jaati hai
mayoosi uski hamaari ho jaati hai
shaeri us ki paDtay paDtay
dil hamara shaer bun jaata hai
afsos to is baat ka hai k nakli
shaaer jo dil se nahin likhtay
apni chaaploosi kamananay main lagay hain
jeetay jeetay maout un ki ho jaati hai
lakin pal bhar ki kushi vo trastay hain
pal bhar ki kushi unay zinda rakhti hai
apni poetry ki tasveeraiN le kar
idhar udhar cHaaptay rehtay hain
aur kehtay firtay rehtay hain
dekho hum kitnay kavi mahan hain
hey Allah, tu un ko kuch budhi day
aur muj ko bhi day k aisa fir main na likhooN
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem