Robin Coste Lewis In Her Prose Poem: Math. With New Line Breaks In Hindi/ Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Robin Coste Lewis In Her Prose Poem: Math. With New Line Breaks In Hindi/ Urdu Translation



aur fir, baDay arsay k baad
hum dono miltay hain
hamaary badan juDtay hain
sirf kuch ghanton tak:

samaa muje pyaar karta hain
har minute ek tohfa bun jaata hai
pyaara pyaara har pal
apni jazbaat dikhata hai
aur fir jaldi main bra-brabar
har pal mit jaata hai - aur tum
bhi mit jaatay ho.

kisi na kisi tarah meri samaj main aata hai
k ab chaar sal k baad hi
hamaray milnay ka waqt fir aaey ga...

Friday, May 24, 2019
Topic(s) of this poem: despair,waiting
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success