Sawaal Kitne Kamaal Hain.. Poem by abhilasha bhatt

Sawaal Kitne Kamaal Hain..



Sawaal kbhi dusron se karte hain
To kbhi khud se kie jate hain
Sawaalon k jawaab aksar mil jaate hain
To kbhi dhundhne padte hain
Sawaal kain sawaalon ko janm deta hai
Sawaalon k jawaab kbhi kbhi sawaalon main hi miljaya krte hain
Sawaal kbhi zabaan karti hai
Kbhi Aankhen sawaal kartin hain
Sabse zyada sawaal dil karta hai
Dil se zyada sawaal shayad hi koi karta hoga
Dil bhi sawaal kyun na kare tbtk jabtak jawaab na mil jayen
Sawaal kbhi mushkil hote hain
To kbhi aasaan hote hain
Sawaalon ko aasaan aadatan jawaab hi banaate hain
Magar kbhi kbhi jawaabon se sawaal mushkil ho jaate hain
Sawaalon ko kbhi kbhi sawaal hi aasaan banajate hain
Sawaal wo baatain hain
Jin baaton ka samajh main naa aana sawaal banjaya karte hain
Sawaal hamain kbhi khudse rubaru karate hain
Kabhi hamare apnon k dil main pal rahe sawaalon se
Sawaal yun to parikshaon main kisi dushman se kam nhi lagte
Magar agar un sawaalon k jawaab pata hon
To wo sawaal kisi pakke aur pyare dost se kam nhi mehsoos hote
Sawaalon ko kbhi jayaz kaha jaata hai
To kbhi najayaz kehkar dar kinaar krdie jaate hain
Maano sawaal, sawaal na hokar zarooraton ki shreni k hon
Ya samaj k utpan kie do vargon main baante samaj k naam hon
Jayaz sawaal jayaz bete jaisa hota hai
Najayaz sawaal najaayaz aulaad jaisa
Sawaal aadatan kain baar kbhi kbhi bhagwan se bhi puche jaate hain
Bas jawaab ka intzaar krna aana chahie
Ya jawaab sunne ki himmat honi chahie
Badon k lie
Sawaal karna ek rutbe ka hona bhi maana jaata hai
Kyunki sawaal har koi to nhi kar sakta bas bade hi kar sakte hain
Sawaal hamari zindagi main ek ahem bhoomika nibhata hai
Sawaal hame nai dishaon se
Zindagi k anek pehluon se parichit karata hai
Sawaal aaina hi to hai
Jo hame hamara asli chehra aur shaksiyat saamne leaata hai
Sawaal bhi kamaal hain na
? Jo ye lag jaye to har shabd har pankti sawaal ban jaata hai
Aur bade badon k maathe se pasina chudwa detaa hai.. :)

Friday, January 15, 2016
Topic(s) of this poem: life,question
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 26 December 2016

Sawal hi sawal, ab jawab bhi hona...Bahut khoob.10++

0 0 Reply
Rajnish Manga 15 January 2016

दायें बायें ऊपर नीचे चारों ओर सवाल हैं कुछ प्रश्नों में उत्तर हैं तो किसी उत्तर में छुपे सवाल है. सवालों की दुनिया से रूबरू करवाने के लिए धन्यवाद, अभिलाषा जी. Sawaal kain sawaalon ko janm deta hai Sawaalon k jawaab kbhi kbhi sawaalon main hi miljaya krte hain

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success