Sharaafat Poem by Tabish Raza

Sharaafat



Khaas mauko se dilbar ki galiyon tak
Pehne firte the jise boht shaan se,
Kuch dang rehte kch nakli bhi kehte the,
Utarti thi vo poshaak bs yaaro k sath me.

Jab utaar phenka humne is udhaar ko
Jo silkar diye the darziyon ne sahukaar ko,
Aur odh li phiran hai waqt ki pukar jo
Sochta hu maazi be ikhtiyar jo
Logo ko pasand hai barhanghi agar
To ho gye logo me ham nanga lo

Libaas vo azeem tha safed tha
Isliye asaani se zaleel tha
Dehshat me rehte hai pehne us poshaak ko,
Sharafat hai kehte jise jaan lo.

Wednesday, July 29, 2020
Topic(s) of this poem: decency
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success