Shashwat Poem by ramesh rai

Shashwat



Jivan ek shashwat,
parikalpna hai
madhur asamnjas ke us paar
agar dekha hoga kisine
bhoo - dhara ki nai patal par
rashmiyon ke bharmaaar mein
bahu samay ka satya
vibhushit ho raha tha
puchh raha tha

Wah aayee
godhuli ki bela mein
jivan ki saari rashmiyon se yukta
agar dekha hoga kisine
wah mai tha, mai aur bas mai
jivan ka nirupan kar
satya ko alokit kar
asatya ki dharatal
satya ki parampara ko lekar
nayee uplabdhiyan sahit sunya mein
jivan ke sukhsma us paar
kya dekha hai kisine

tumhi batlao
n meri koi mansikta hai
bas likhta hun, likhne ke liye

aaj bhi satya hamse door hai
astya mein bhatakata maanav
anant jivan ka avivadan kiske liye hota
atma ka nidarshan
kis prakar se hota

ati sukshma tatwon se bana
phir atma nashta nahi hota
wah leh matra ban jaata
jivan ki prastuti ka awsaan
jo atma hi agar saakar ban jaata
aatma ek nirakaar hai
wah saakar mein pravishta hota
phir yeh manav sharir tab kahi nirmit hota

kaun karega pushti, jivan ke yathart ko
kisliye yeh jiwan
phir aatma se ban paata

is anant brahmand ki shrishti
phir isme bana sansaar
kaise bana yeh jiwan sunya
ek pathik hai puchhta

Aye Shrishtikarta!
tum aaye pahle ya mahakaal
baar baar yeh prashn
main sirf tumse puchhta

tum batlao mujhe jivan ka rahasya
kis tarah is maanav ka jivan
ban jaaye khusiyon se paripurna
kis tarah shrishti ke har prani
ho kshuda se mukt
kshuda chahe jaisa bhi ho
dhoondhta hai ek saakar pratima
saakar se nirakaar ka milan
yehi to hai satya ka khoj.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success