Husn aur ishq ke darmiya'n aag hai
khairiyat hi rahe ab jawaa'n aag hai
Roshni isse hai ye jalaati hai gham
kaun kehta hai namehrbee'n aag hai
Iske sholon ka jaisa khiraam uska hai
mere nazdeek sarwe rawaan aag hai
Sard mausam shabe wasl hai aur ham
Aa bhi ja aa bhi ja tu kahaa'n aag hai
Jab hawa ki rifaqat use mil gayi
Phir jahan hamne dekha wahaa'n aag hai
Khaliqe sholae ishq tere sabab
Mawraye yaqeeno gumaa'n aag hai
Ahtiyaten zaruri hain ulfat men bhi
Tum na jao wahan par jahan aag hai
Aye suhail uske jalwon men paiwast hai
Yaar hai gul tabhi gufishaa'n aag hai
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -Suhail Kakorvi.
darmia'n=beech men, khiraam=chalna, sarve rawaan =chalta hua deodaar ka ped, sard=thanda, shabe wasl=milan ki raat, rifaqat=saath, khaliqe sholaye ishq=prem ke sholay banane wala, mawara=pare, yaqeen=nishchit, gumaan=anishchit, ulfat=prem, pawat=samaya hua
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Is it Urdu? Ahtiyaten means?