Stardust, A Spanish Poem By Raul Rivero Translated Into Urdu Poem by Ravi Kopra

Stardust, A Spanish Poem By Raul Rivero Translated Into Urdu

Julia Roberts shayad galti kar bethi hai
jabhi dekho meri tarf hi uski nazar hoti hai
aur main apna muNh doosri taraf kar leta hoon
mujhay wo phisalna chahti hai
main usko sazza deta rehata hoon

jab vo kuch mujh se kehne lagti hai
main kaan apnay bund kar leta hoon
jab vo aankhain cham-chamaktay dekhti hai
main apna baazoo chehre pe le aata hoon
aur jab vo mujay haawaaee chumi deti hai
main usay dutkaar se dekhta hoon
jab vo lafaD-dafaD si bolti hai
main kamray se nikal jaata hoon
meri nafrat se vo ek but ki tarah khaDi rehti hai

main aksar din bhar laparwahi se rehta hoon
magar jab raat aa jaati hai to such ye hai k
main uski aag main taRapta hoon
aur usko main apni ek THandi hawaa
ki pankhi bana leta hoon.

Thursday, December 7, 2017
Topic(s) of this poem: love,pretence,seduction
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
My rendering is from the English translation of the original poem by David Shook published in the December 2017 issue of Modern Poetry in Translation.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success