Tajdeed Poem by Bano Ali

Tajdeed

Rating: 5.0

Daghe dil ashke judai se mita aai hoon,
Ranjishen sari woh mazi ki bhula aai hoon,
Gulshane Ishq mein maninde nida aai hoon,
Apne phoolon ke liye ban ke hawa aai hoon.

Maine socha tha kahin door nikal jaoon gi,
Bhool jaoon gi tujhe aur bahal jaoon gi,
Keya khabar thi ke ghari bhar mein pighal jaoon gi,
Tera jadoo jo chalega to badal jaoon gi.

Main ke waqif bhi na thi hijr ki kali shab se,
Ek haseen mor pe main tujhse mili thi jab se,
Zindigi bojh judai mein bani thi kab se,
Maine bas ek tujhe manga tha apne rab se.

Din tha waqfe ka saman raton mein teri aiy dost,
Jism tha rooh fishan bahon mein teri aiy dost,
Rooh thi raqs kunan aankhon mein teri aiy dost,
Aabla pa hoon khari rahon mein teri aiy dost.

Zindigi jisko tarasti hay woh rahat de de,
Apni nayab nigahon ki inayet de de,
Mujhko wapas meri khoi hui jannat de de.
Ho sake to mjhe pehli si muhabbat de de.

Meri subhen teri chahat se hayn roshan sathi,
Mere phoolon se hay mehka hua aangan sathi,
Main agar dil hoon to ban ja meri dharkan sathi,
Kitni maghmoom hay tujh bin teri dulhan sathi.

Thursday, July 3, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Back to sweet home.
COMMENTS OF THE POEM

Though i am not much knowledgeable about Urdu/Hindi poetry, this one sounded really beautiful. Thanks for sharing.

0 0 Reply
M Asim Nehal 27 September 2015

Beautiful Ghazal...... Very well written, I liked it.........100 on 10. Zindigi jisko tarati hay woh rahat de de, Apni nayab nigahon ki inayet de de, Mujhko wapas meri khoi hui jannat de de. Ho sake to mjhe pehli si muhabbat de de.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 03 July 2014

A very beautiful and impressive write.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success