Tanha Jeene K Lie.. Poem by abhilasha bhatt

Tanha Jeene K Lie..

Yun to aksar
Mere lamhon main shamil kain yaadain hoti hain
Magar chand lamhaaton main
Tujhse meri nazar milti hai
Aur mujhko
Maazi ki Kain tang galiyon main
Badi betarbiyat se meri bezaari ka daman thamakar sath apne lejati hai
Mano ab kuch bhi na ho
Us malbe main bacha
Meri anjali main
Yaadon ki tarah se dene k lie
Jiske daaman ko thame
Main basar apni
Khamoshiyon se bhari
Tanhaahiyon main lipti
Siskiyon se goonjti
Bebasi main guzarti
Zindagi ka safar tey karti
Kuch to haasil aisa hi hota
Tanha jeene k lie..

Monday, November 28, 2016
Topic(s) of this poem: life,loneliness,pain
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 30 November 2016

Another sentimental poem that is very impressive.

0 0 Reply
Kavita Singh 30 November 2016

beautiful......poem... tanha kaise katti hai zindagi, koi girte huye phoon se puchhe kaise rahte hai hum tumhare bin, koi aake mere usulon se puchhe....

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 28 November 2016

Zindagi ka safar tey karti Kuch to haasil aisa hi hota Tanha jeene k lie...... beautiful expression. A lovely poem shared. Thanks for sharing.

0 0 Reply
Mithilesh Yadav 28 November 2016

Pain penned livingly....... Great mamji Akelepan sey mere mera kya khubh rishta hai........ Meri ansuyon sey khila hua Sara gulishtan hai.....

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success