The Greatest Mistake Made By God, A Poem In Hindi/Urdu Poem by Ravi Kopra

The Greatest Mistake Made By God, A Poem In Hindi/Urdu

Khuda koi lasani mazedar cheez hai
jaisa kaisa us k dil main aata hai karta rehta hai

Us ne chutki bajaii
aur dekhte hi dekhte
aasman main chaand, suraj, taray aa dhukay
doosri chutki par
pahaD, dariya, naddiaN, zamin ek dum aa tapki
agli chutki par
peD, parinday, jaanwar aa khaDay huey

Bahut arsay tak khuda dekhta raha
chamakte taron ko, chaand suraj ko
khali aasman ko, pani peetay hirnoN ko
shikar karatay sheroN ko, hathioN ko
naachte moroN ko, geet gati koeyloN ko

Bore ho gaya bechara khuda un sab ko dekhte dekhte
fir us ne janam diya insaan ko registan k ek khjoor k ped k neechay
aut tab se tabhaii lag gayi is jahan ko
kahin bhi shanti nahin hai, sub taraf khoon kharaba hai
dhokay bazi hai, gadhaari hai, chora-maari hai
khuda ne galti kar di par usko apne par baDa gumand hai
galti vapis nahin leta lakin lagta baDa pareshan hai.

Tuesday, March 20, 2018
Topic(s) of this poem: creation,god
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success