The Peace Of Wild Things By Wendell Berry In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

The Peace Of Wild Things By Wendell Berry In Hindi/Urdu Translation

jab duniya ki mayooshi se main bhar jaata hoon
to halki si awaaz bhi sotay hue mujhay jagaa deti hai
dar se k kya hoga mere bacHon aur meri zindgi ko
main peDon k beech paani kinaray
jahan bathakaiN pyaar se araam karti hain
aur jahan hans apna pait bhartay hain
jaa kar lait jaata hoon

jungli jeev-jantoo jis skoon main rehtay hain
main us se bhar jaata hoon
vo apna dimaag khraab nahin kartay
sochtay hue kya dukh bvish kaal laaey ga
paani ki shaanti main main hazar ho jaata hoon
aur aasmaan main taaray jo din ki parvaah nahin kartay
aur apni roshni dikhlanay tyaar rehtay hain
un ko dekhta hoon aur kuch waqt ki liyay
duniya ki khair main araam le laita hoon
azzad main fir ho jaata hoon.

***

The Peace of Wild Things
by
Wendell Berry

When despair for the world grows in me
and I wake in the night at the least sound
in fear of what my life and my children's lives might be,
I go and lie down where the wood drake
rests in his beauty on the water, and the great heron feeds.
I come into the peace of wild things
who do not tax their lives with forethought
of grief.I come into the presenceof still water.
And I feel above me the day-blind stars
waiting with their light. For a time
I rest in the grace of the world, and am free.

Friday, May 24, 2019
Topic(s) of this poem: fear,grief,wildlife
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success