Umar-E-Daraaz [a Poem In Urdu] Poem by Om Chawla

Umar-E-Daraaz [a Poem In Urdu]



Umar daraaz huie toa kya hasil
Be-bassi, lachaargi, mohtaji
Umar-e-daraaz;
Ik taveel raat jiski saher nahien
Jo kisi unt ki mohtaaj hai bas
Aur woh unt bhi uske bas mein nahien
Umar-e-daraaz ki yehi dastaan hai bas.
Umar-e-daraaz mein
Apno nein dieay jo dukh
Woh toa seh bhi lein
Peeda apno ke dukh ki
Sahi nahi jaati,
Woh jinhain itney naazon se paala
Unki takleef toa dekhi nahi jaati;
Laakh chhah kar bhi
Kuchh na kar paane par
Ahsas-e-be-bassi aur badh jaata hai
Umar daraaz huie toa bas yehi hai hassil
Be-bassi, lachaargi, mohtaji. [2012]

COMMENTS OF THE POEM
Archana Kumar 21 June 2013

VERY BEAUTIFUL.....Dua hai meri ki khuda aap par meharbaan ho, har din har pal aapka mehmaan ho, gam itna hi ho ki hatheli mein sama jaye, aur khushiyan itni jitna aasmaan ho.

0 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 20 October 2012

Zindagi mohtaji, bohot khoob nazm uncle.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success