Unn Ruke Ruke Se Aansoon Ki Kasam..... [a Poem In Urdu} Poem by Om Chawla

Unn Ruke Ruke Se Aansoon Ki Kasam..... [a Poem In Urdu}

Rating: 5.0

Unn ruke ruke se aansoon ki kasam jo galley ko rond dete hain
Mere humdum mere dost hain woh aansoo tere bhi aur mere bhi
Peeda ke woh badal jo tere seenay mein umadte hain
Unhein ki bijlian kadkti hain seenay mein tere bhi aur mere bhi
Tumhein yeh bharm keh main teri peeda samajh nahien sakta
Mujhe yakeen keh main teri har chubhan mehsoos karta hoon
Itne lambay zindgi ke safar mein aay mere humdum mere dost
Teri har sard aah ki tapash ko mehsoos kiya hai main ne
Aur teri aankhon mein aaye har unn aansoon ko,
Jo khushi kay thhay yaa thhay gham kay,
Apni zindagi se azeez samjha hai main ne
Aur aaj bhi yehi ek dua hai meri
Keh woh din na aaye keh teri aankhon se
Udassi ke aansoo rawan ho paien,
Chahey khushi shabnam bankar,
Kanwal ke phool par padi oos ki tareh,
Teri aankhon mein samaati rahe, chhalkti rahe.
Bas yehi dua hai meri aay mere humdum mere dost.

Monday, June 20, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 18 August 2019

kya khoob nazm he, Om. You may like to read my poem, Love and L u s t. Thanks.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success