Uski Ankhon Ne Mujhe Bharosa Diya Tha Poem by Abdulrazak Aralimatti

Uski Ankhon Ne Mujhe Bharosa Diya Tha

Uski ankhon ne mujhe bharosa diya tha
Nahi khatm hone wali mohabbat ka
Mera dil baag baag ho gaya
Uska dil jeetne ki khushi mei
Lekin jab mayn wapas laut aya
Ek lambe wakht ke baad
Uski ankhon ne mujhe dhoka de diya
Mayn ek jasbati shaks
Mohabbat aur ulfat se bhara huwa
Bardhasht nahi kar saka
Nahi khada ho saka apne payron par
Mayn zameen par ladkha gaya
Uth na saka mayn ek lambe wakht tak
Meri keemti zindagi mayn ne kho di.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success