Waqt-E-Tanhai Poem by Varsha M

Waqt-E-Tanhai

Rating: 5.0


Tanhai ne wo aayina dikhaye
Jisse hum hamesha bhagte
Par uss ne wo chasma pahinaya
Jisse hum babal gaye.

Rah jo garkanooni thi
Chod chale hamesha ke liye
Rah jo shaan-e-mukbhir hai
Chal pade hum aazmane

Bus unke khayalon ke dum pe
Badla aapna aandaaz-e-khaas.

Judai unsse bahut bhari hai
Pal bhar kar ehsaas dukhdayi hai
Tanhai bahut jalim hai
Sukh chain sab barkhast kar hai.

Tanhai wo sikha gaye
Jo maine nazar andaaz kiya hamesha.

Wo khamoshi, wo aakelapan
Kabhi bhai bhai the aapan
Par unke madhyam vani ne
Aandaz aapna badal dala.

Wo aakelapan
Jahan baarish ke boondein
Tapakti to hai milne ke liye
Par choote he bikhar jati hai
Jane kaun se aanjan desh me.

Wo aakelapan
Jo hamsafar ban chala tha mera
Unki raah dekhta hai ek taak lagaye
Saayad aane wala ye pal
Naye saugaat le aaye
Kuch khatti kuch meethi.

Aaise haseen saugaat ho unki
Jo dhundli kar de mere
Har uss tanhai ko
Jise mai ji ji kar thak gaya hoon.

Aai mere mukhbir
Sandesha untak pahucha de
Saabkuch hai par tum nahi
Aai tanhai aab nahi sahi jaati
Teri ji huzoori.


Mere aangne me bhi jhaak ja
Aadhe adhure sahi
Aai zindagi
Jab se deekha tumhe
Naazre jukhti nahi.

Aai waqt-e-raheem
Kar ja kuch sangeen
Ke hum unme aur wo humme
Phir se ho jaye lawleen.

Aai waqt-e-raheem
Sun le mere phariyaad
Na jiya jata
Aab aur is akelepan me.

Laut aah aai mere hamnashi
Ye iltizah hai aapse
Ab aur na jiya jata
Is aakelapan me.

Waqt-E-Tanhai
Monday, August 3, 2020
Topic(s) of this poem: alone,loneliness
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Inspired by poem of M Asim Nehal Tanhai. Sometimes loneliness teaches us all that we ignored. Sometimes loneliness mends the unmendable. Sometimes loneliness makes you much better. Sometimes loneliness shows you how you are.

Further added on request of Rajnish Manga to add about milan. Notion seemed positive and appealing so tried it.
A paragraphs are the outcome of my friend Sharad Bhatia who penned them. His words are
'wo akelapan'
Jaha tere siwa sab kuch hai.
'wo akelapan'
Jaha Barsaat ke aakhri boond tapakti to hai aapno me milne ke liye
Par girte he bikhar jati hai.'
I am thankful to both the poets for their eminent contribution to make my this poetry look beautiful. Thank-you so much.
Photo by Steve Halama on unsplash.
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 03 August 2020

Judai dukhdai hai, Tanhai zaalim hai- sukh chain chheen layti hai. Bavajud iske tanhai admi ko bahut kuchh sikha deti hai. Kash iske teesare dimention (Milan) ko bhi shaamil kiya gaya hota. Kabile tarif kavita. dhanywad.

0 0 Reply
Sharad Bhatia 03 August 2020

बहुत खूबसूरत पंक्तियाँ " अकेलेपन" पर वो अकेलापन" जहाँ " तेरे" सिवा सब कुछ हैं।। " वो अकेलापन" जहाँ बरसात की वो आखिरी बूँद टपकती तो हैं अपनों " मे" मिलने के लिये, पर गिरते ही बिखर जाती है ll

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success