jab main tumhare kandhe pe
apna sar rakhti hoon
to is duniya ki sari shanti main
main sheetal ho jati hoon
radio par sureelay gaanay aa jaate hain
mausam suhana ho jata hai
aur agar darwazay par koi khat khat karta hai
to mujhe pata hai ye tax lainay wala koi aadmi nahin hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem