Woh Din Woh Raat Poem by abhilasha bhatt

Woh Din Woh Raat

Rating: 5.0

Wo raatain meherbaan si
Jo gamon ko mere sahara dete...
Mujhe kl ki dhoop se kadi kuch der k lie hi sahi..apne daman main kuch derk lie ashiyana dete...
Na mangti mujhse kuch badle main..jaise duniya loota karti hai
Na ho chahe keemat k layak wo cheez
Magar kimatain adaa karne ki batain kia karte hain..
Wo din kambakht kaat te
Jo na kat te they aasan se
Wo jo mujhe jalne k lie chod jate din bhar k lie
Na puchta mera haal pata
Bus kehte tujhe rukna nahi hai
Teri daud aasan nhi jeevan ki
Tujhe kisi bhi mod par rukna nhi hai
Chlna hai tujhko bus chlate jana hai

Ye raatain maa si pyari nazar mehsoos ati hai
Ye din pita se sakht nazar aate hai..

Saturday, November 28, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 28 February 2016

Ye raatain maa si pyari nazar mehsoos ati hai Ye din pita se sakht nazar aate hai.. A great write.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success