Ya Samandar Ho Tum.. Poem by abhilasha bhatt

Ya Samandar Ho Tum..

Rating: 5.0


Kya soch rahe ho tum
Khamosh kyun ho tum
Gum sum kyun ho tum
Kis Khayal main gum ho tum
Kiske khayal main khoye ho tum
Chahte kisko ho tum
Kis se pyar krte ho tum
Kis baat par udaas ho tum
Kyun is shaam main chup baithe ho tum
Kis baat par hairaan ho tum
Hairaan ho ya pareshan ho tum
Kiske intzaar main ho tum
Kiske khumaar main ho tum
Kiski chaahat main ho tum
Kisi himayat main ho tum
Kiske aashna ho tum
Kiske ajnabi ho tum
Kiski tareef main ho tum
Kiski tareef krte ho tum
Kisi aankhon main ho tum
Aanso ki trah ho tum
Ya haya k jaise ho tum
Mujhko takte ho tum
Der tak takte ho tum
Mujh main samate suraj ko
Akhir tak dekhte rehte ho tum
Main samandar
Dil main hoon tumhaare
Ya phir mujh main ho tum
Kya samaaye hue ho tum
Kitna chupaye ho tum
Kitna dard dabaaye ho tum
Kbhi kbhi gumaa hota hai
Samandar hoon main
Ya samandar ho tum..

Wednesday, January 20, 2016
Topic(s) of this poem: feelings,life,ocean,you
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 20 January 2016

Behtareen poem..Lajawab.10+

1 0 Reply
Rishi Thakkar 20 January 2016

This is another lovely poem about this someone and thr actions/influence in life.we all do experience such people with the heart friends n ocean...very well expressed.thank u fr sharing :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success