World (A Poem In Hindi/Urdu) Poem by Ravi Kopra

World (A Poem In Hindi/Urdu)



"I have come to believe that the whole world is an enigma,
a harmless enigma that is made terrible by our own mad
attempt to interpret it as though it had an underlying truth."
—Umberto Eco

Maaf karna mere khuda
samaj meri main nahin aata
tum kyon, jo wudu nahin kartay
un ki namaaz tum qabool nahin kartay ho

Maaf karna mere shiva ji
samaj meri main nahin aata
kyon karti hain aurtaiN tere ling ki puja
kaavind k saath sonay se pehlay raat ko

Maaf karna mere Christ k pita ji
tumharay baitay ki maaN kanwaari the
issaii us ki puja kartay hain
lakin beshaadi auratoN k bachhoN ko kyoN haraami kehtay hain

Maaf karna Guru Gobind Singh ji
samaj mari main nahin aata
kyon sadaaroN k lambay baal aur dhaDaay rakhnay ko tum kehtay ho
baal vo roz dho nahin paatay, khusboo bharay pagDi k neechay rakhtay hain

Maaf karna mere Buddha ji
samaj meri main nahin aata
kyon tum beewi bachay ko choD kar ghar se bhaag gayay
aur logoN ko saada shaadi shuda jeevan bataanay ko kehtay ho

Maaf karna dhaarmic catholic pujaario
meri samah main nahin aata
shaadi to tum kabhi nahin kartay ho
lakin massoom bachoN ka balaatkaar tum kyon karty ho

Duniya ko samajnay waalay sub dhaarmic logo
samjhaao kya dharam hai tumhara
kya matlab hai is sub behoodapan ka
kya bheD chaal jaisi zindgi tum guzaartay ho.

Wednesday, April 24, 2019
Topic(s) of this poem: world
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success