26 January.. Poem by abhilasha bhatt

26 January..

Rating: 5.0

Aj 26 January ka din aytihaasic hai
Bharat k gantantra ka naya ek aur saal hai
1950 main hua is din hamare desh ka laagoo samvidhan hai
Is din tak pahunchne k lie desh ne die bahut balidaan hai
Kehte kehte chad gye sooli bharat maa mahaan hai
Jai jawan jai kisaan mera bharat mahaan hai
Is din hai manata jalsa desh pura nikalti bahut badi jhaanki hai
Hue shaheed vatan par jo unhe samman die jaate hain
Aj k din hi naya savera bharat desh main aya tha
Naye daur ki shuruaat hui thi aj tiranga lehraaya tha
Aj aazaad bharat main surya apni shreshth puri main roshni ug aaya tha
Nai umeed nai kiran asha ki pure bharat par barsaya tha
Laal kile sansad bhavan par hamara tiranga lehraya tha
Rabindranath tagore ne JAN GAN MAN Rashtra Gaan aj k lie sajaya tha
Shaheed hue jo is din k lie unka swapn pura hua tha
Dekha tha jo aazaad bharat ka unke aankhon se diltak samaya tha
Aj k din se hi bharat loktantrik kehlaya hai
Un veeron k balidan se hi bharat k logon ne ye sukh paya hai
Aj unke hath main hak kitne hai
Kaun pradhan kaun mukhya bane ye janta k hi haq main hai
Apni marzi se jahan apna mantri hum chunte hain
Bediyon ki jagah ab adhikar hamare hote hain
Aj k din se hi sab
JANTA KA JANTA DWARA JANTA K LIE
Kehlaya hai
Aazaadi ka sahi mayane main isdin parcham lehraya hai
Na Raja na Prajaa koi ab bas janta ko Raja banaya hai
Saal beete beete kitne har saal gantantra diwas manaya hai
Tyohaaron se bhi zyada mehetva is din ne paaya hai
Magar na jane kho gya kahan wah desh hamara jo kbhi praano se bhi pyara tha
Basanti chola od kar bhagat ne jis maa ki laaj ko bachaya tha
Laaj bachate hue praanon ko aazaadi ki aahuti chadaya tha
Maila ho gya bharat maa ka aj wahi aanchal kukarmon se beton k hi uske uski izzat ganwai hai
Shok manati hogi maa bhi kaisa ye din aj mere pooton ne dikhaya hai
Lete hain dahej hoti hai kanya bhrun hatya purzor se yahan hai
Aurat k daaman ko kaise aj k durshaasanon ne bhare bazaar utaara hai
Na beti na behen na maa ko baksha sabka cheerharan kardaala hai
Kbhi jin netaon ne desh ko maa bataya tha
Hamne bhi yahi maan kar aj tk desh unhe thamaya tha
Chor ho gye hain aj wo sab khoon karke bhi sansad main hain baithe
Mandir hai jo hamare lok tantra ka wahan gaaliyan abhadra shabd hain kehte
Bhrashtachar se lipt hua hai mera jo desh mahaan tha
Jo roke jo toke uska khoon kar dia ya karwaya jaata hai
Toot gya choor choor ho gya subhash bhagat ne jo sapna apne desh ka dekha tha
Dekhte honge aasman se jab pyare desh ko apne
Rote honge jaane kitna koste honge khudko kitne
Kehte honge ye swap to Nhi dekha tha Maine apne bhaarat aazad ka
Ye kya hogya maa ko meri kahan rakshak hain iske samman ka
Haye re kaisa desh hogya mera
Bharashtachar se lipt ho gya desh mera
Khoon kharaba dahej pratadna balatkaar se lipt hua
Ye kaise keechad main hain reh raha hai desh mera ghar mera
Ab agar ham na sudhre to nai peedi ko Kya sikhayenge
Kya aisa desh ham unko sawnpenge dikhlayenge
Aj k din ham sab bharat waasi pran ek lenge
Na ghoos denge
Na rishwat lenge
Apne desh ko nhi bikayenge
Na ab koi lega dahej
Na hogi ab Kanya bhrun Hatya
Na balatkaar ab honge
Apne desh ki naari ko samman ham dilayenge
Safar hai mushkil kadhin dagar hai
Magar manzil utni door nhi
Door to 26 January 1950 thi
Phir bhi tyag balidaan se veeron k kain
Manzil hame mili zaroor thi
Ab bas ho gya bahut
Mera desh thag gya lut gya bahut loot gya khudko bahut
Ab sudhar ki baari hai
Bharat maa ko phirse manana ab zimmedari hamari hai
Inki izzat raksha karna yahi ab hamne thani hai
Naye bharat ko har burai se aazaadi dene ki sangharsh ki baari ab hamari hai
HINDI HAIN HUM WATAN HINDUSTAN HAMARA
Sahi maayane main samajhne ki baari hai
Phirse bharat maata k hath main sone k kangan pehne dekhen ye sawap hamara yahi soch hamari hai
Sone ki chidiya kahaaye phirse apni imaandaari kaabiliyat aur mehnat k dam par aisa hum karjaenge
Sahi maayane Gantantra diwas k samjhenge samjhayenge
Gantantra k diwas par aaj apne bure vichaaron se aazaadi hamne paani hai
Desh ko burai aur bure logon se aazaadi ab hame khudko aur desh ko apne dilaani hai..

JAI HIND….HAPPY REPUBLIC DAY

Monday, January 25, 2016
Topic(s) of this poem: indians,republic day
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 26 January 2016

देशवासियों में देशभक्ति की कमी नहीं लेकिन सामाजिक व राजनैतिक क्षेत्रों में मचे घमासान की वजह से जो देश की दुर्दशा हो रही है उस पर नियंत्रण न लगाया गया तो इस गणतंत्र की गरिमा को चोट पहुंचेगी. बहुत सुंदर कथ्य. Is din tak pahunchne k lie desh ne die bahut balidaan hai / Jai jawan jai kisaan mera bharat mahaan hai / Aj k din se hi bharat loktantrik kehlaya hai / Haye re kaisa desh hogya mera / Bharashtachar se lipt ho gya desh mera

1 0 Reply
M Asim Nehal 26 January 2016

Bahut badiya varnan kiya hai aapne...26 Jan is precious to all Indians and it makes them proud as well..10++

1 0 Reply
Souren Mondal 26 January 2016

Brilliant Abhilasa... I had tears reading this.. True emotions and pure poetry.. Wonderful work.. Bohoot hi khoobsurat hai.. On a persoal note, I loved how you criticised the pathetic misogynistic atttitude of the country... We need better place for women in our country.. Thank you very much.. Jai Hind!

1 0 Reply
Mithilesh Yadav 26 January 2016

Basanti chola od kar bhagat ne jis maa ki laaj ko bachaya tha Laaj bachate hue praanon ko aazaadi ki aahutu chadaya tha Maila ho gya bharat maa ka aj wahi aanchal kukarmon se beton k hi uske uski izzat ganwai hai Shok manati hogi maa bhi kaisa ye din aj mere pooton ne dikhaya hai ..... grrrt lines to remark the essence of the poem.... grt thoughts penned mam...... really pleasure to read it... thanx for sharing......

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success