Aag Bun Kar Kisi Din Dehak Jao Na Poem by Akhtar Jawad

Aag Bun Kar Kisi Din Dehak Jao Na

Rating: 5.0


Apni aankhon ka kajra bana lo mujhe,
Apni zulfon ka gajra bana lo mujhe,
Apne honton ki madira pila do mujhe,
Chand jaisa yeh chehra dikha do mujhe.

Dhoop mein apni zulfon ka saya karo,
Muskura kar kabhi to bulaya karo,
Kabhi chup chup ke raton mein aya karo,
Gungunaya karo hosh uraya karo.

Bun ke badal kabhi mujhpe barso zara,
Jhank kar meri aankhon mein dekho zara,
Ek shab umr ko de do dhoka zara,
Mujhko chaho zara mujhko socho zara.

Tum hatheli pe mehndi rachaya karo,
Apne honton pe lali lagaya karo,
Choorion ki khanak bhi sunaya karo,
Peyar ke geet chupke se gaya karo.

Tum gulab ho agar to mehak jao na,
Tum sharab ho agar to chalak jao na,
Tum shabab ho agar to behak jao na,
Aag ban kar kisi din dehak jao na.

Wednesday, July 30, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
a day dreaming of love.
COMMENTS OF THE POEM
Khalid Saifullah 08 March 2017

Ek achi roomanvi nazm...................................................................

0 0 Reply
Sonali Ganguly 01 May 2016

very nice verse..... enjoyed it a lot

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 09 August 2014

Aag banne ke liye khud ko jalana padta hay aor yeh asan kam nahin.

0 0 Reply
Savita Tyagi 01 August 2014

Bahoot Khoob. Enjoyed each line of the ghazal. Thank you for visiting and your lovely comment on my poem.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success