Aankhain Khulay-Aam Na Mara Karo, A Ghazal In Hindi Poem by Ravi Kopra

Aankhain Khulay-Aam Na Mara Karo, A Ghazal In Hindi



tumtextkartay ho, maintum se pyaar karta hoon
paDtay hi mere dil main hal-chal lagaey jaatey ho

main likhti hoon main bhi karti hoon
kya hota hai tumaray dil main, ye nahin batatay ho

jab tum shaam ko gali main niklay, main bhi peecHay nikalanay lagi
maaN ne kaha: beta, chai ka waqt hai, kahan bhagay bhagay jaatay ho

sach batao ye sacha pyaar hai, jhootha nahin
acha nahin lagta agar hansi mazzak kiye jaatay ho

aankhain khulay-aam na mara karo
maan-baap se mujay jootay kyon marwatay ho

wo kehengay, kis lafangay k saath paDi hoon main
kaisay bataaoN tum lafangay nahin, mere devtay ho

salaah lenay main 'Ravi" k pass gayee, haey rabba main kya karooN
bolay: beta dheeraj rakho, dimag apna kyon khrab keye jaatay ho

Monday, November 27, 2017
Topic(s) of this poem: love,obsession
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
after reading:

मुस्कान से एक हो जाते हैं - Poem by Dr. Navin Kumar Upadhyay

नजरों से मुलाकात होती, मुस्कान से एक हो जाते हैं।
दो-चार बोल में, हम एक-दूजे के बन जाते हैं।।
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success