Aurat Ka Badan (Body Of A Woman) , Pablo Neruda's Poem In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Aurat Ka Badan (Body Of A Woman) , Pablo Neruda's Poem In Hindi/Urdu Translation



aurat ka badan
safed jhaNgaiN, safed pahaDian
apne aap ko de kar, leti hue,
tum ek jahaN ki tarah ho.
mera ganwaroo badan
tere undar khudaee karta hai
aur zameen ki gehraioN se
mera beta cHlangay lagaata a jaata hai.

meri to ek surang thee
jis se parinday uDay
aur raat bhar main ek mahan hamla karta raha.
khud zinda rehne k liye
main ne tumain apna hathiar bana liya
jaisay k teer kamman main ek teer hota hai
jaisay gulel main ek pathar k tukDa hota hai

ab baday ka waqat khatam ho chuka hai
aur main tumain pyaar karne main laga hoon
tumhare pakkay badan ki doodh si twacha kitni mulayum hai!
haey, tumahari cHaati pe do sharab k pyalay hain!
haey, tumhari jhangoN k baal gulabi phool haiN!
haey, tumhari aankhaiN khoee si hue haiN!
haey tumahari awaaz dukh main dheemi si hai!

hey meri pyaari aurat, main tumhari inayat main zinda rahooN ga
meri pyass, meri chinta betanha hogi
mera raasta na jaanay kahan le jaey ga
gehri sookhi nadioN k tal main
jahan hamesha pyaas rehti hai
thakawat aur haar hoti hai
aur jahan dard ki koi seema nahin hoti hai!

Friday, September 21, 2018
Topic(s) of this poem: body,love,woman
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success