Deewanah Poem by Akhtar Jawad

Deewanah

Rating: 5.0

Sham ko tera aana banaya subh ko tera jana banaya,
Yeh to main tha rat ko jisne ashkon ka maykhana banaya.
Tumne bas deewana banaya dunya ne afsana banaya,
Lekin mere dile nadan ne toota hua paymana banaya.
Jo bhi hua acha hi hua kutch khoya agar kutch mil bhi geya,
Ek khiladi ne jeevan ko dilon ka aana jana banaya.
Dosh tumhein main kayse doon yunhi si ek bhool meri,
Yunhi se ek rukh ko maine yunhi bas rukhsana banaya.
Aap ko to aana hi na tha mujhko bhi maloom tha yeh,
Neend bhi tujhsi zalim hay usne tera bahana banya.

Friday, September 4, 2015
Topic(s) of this poem: insanity
COMMENTS OF THE POEM
Farhan Mirza 07 September 2015

Extremely! Well. Lovely

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 05 September 2015

achi ghazal.................................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success