Sheeshe ka Anaa woh lekar bhi
Pathar ka jigar hi rakhte hain
Samjha tha unhe mai apna Bhi
beganon sa sabab woh rakhte hain
Matlab ke liye is duniya mein,
kya kya jatan woh karte hain
Matlab na rahe toh phir aksar,
woh kya kya bahana karte hain.
Dil ki gar tadap na ho toh
koi kyun kar yaad kare
Is jhooti tasalli ki khatir
milne ki kyun fariyad kare.
Matlab ke liye is duniya mein, kya kya jatan woh karte hain Matlab na rahe toh phir aksar, woh kya kya bahana karte hain....so touching and true. Beautifully penned. A brilliant poem so nicely executed.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
A touching poem. Thanks for sharing.