Fado (Purtgaali Gaana) . Jane Hirshfield In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Fado (Purtgaali Gaana) . Jane Hirshfield In Hindi/Urdu Translation

Vo laDki k kaan k paas aakar
andar se ek chawani nikal leta hai,
us k haathon se ek ghuggi pakaD leta hai
jo laDki ko na pata tha k ghggi wahaN the.

Tumain kis se baDi hairaangi hogi
jab vo chawani pe anghoothay ka naakhoon laga kar
halki si dhun paida karta hai
ya ghuggi chup chaap hai apne haathon main pakaD kar dikhata hai?
Jo us ne dhoond liye hain
jo laDki k paas na thay.
Ya ye k Portugal main
is aadhay rukay lehmain main
ab subah ho rehi hai
aur ek aurat paeheey wali kursi pe baithi
purtgali gana ga rehi hai
sun kar jisay kamray ki har cheez ek takDi k taslay par ek taraf ho jaati hai
aur doosray taslay pe gaana hota hai
tambay k har bartan apni jagah samaaey rehtay hain.

This is a translation of the poem Fado by Jane Hirshfield
Wednesday, December 19, 2018
Topic(s) of this poem: magic
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success