Famous By Naomi Shihab Nye In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Famous By Naomi Shihab Nye In Hindi/Urdu Translation

macHli k liyay dariya mashoor hai

garajti awaaz sannatay k liyay
jisay patta hai saara jahan is ka hai
kisi ka moonh khulnay se pehlay

baaD pe leti billy parindoN k liyay
jo ghonslay main baithay
dekhtay is ko rehtay hain

aansoo pal bhar k liyay gaaloN k liyay

vichaar jo tumhari cHaati main hain
tumhari cHaati k liyay

boot zameen k liyay
poshaaki jootay se bhi baD kar
jo mashoor hain sirf farsh k liyay

muDi hui tasveer us k liyay
jo apne batooay main is ko liyay jaata hai
us k liyay nahin jiski vo taveer hai

main mashoor hona cHati hoon
un purshoN k liyay jo saDak paar kartay huay
idhar-udhar chaltay hain
aur muje dekh muskrana shuroo kar detay hain
aur grocery store ki line main khaDay
un chpiktay bachoN k liyay jin ko dekh
meray cheray pe muskrahat aa jaati hai

main ek charkhi ki tarah mashoor hona chahti hoon
ek button hole ki tarah mashoor hona chahti hoon
is liyay nahin k vo koi khaas cheezain hain
is lyay k vo kabhi nahin bhooltay un ka kya kaam hai

***

Famous
BY NAOMI SHIHAB NYE

The river is famous to the fish.

The loud voice is famous to silence,
which knew it would inherit the earth
before anybody said so.

The cat sleeping on the fence is famous to the birds
watching him from the birdhouse.

The tear is famous, briefly, to the cheek.

The idea you carry close to your bosom
is famous to your bosom.

The boot is famous to the earth,
more famous than the dress shoe,
which is famous only to floors.

The bent photograph is famous to the one who carries it
and not at all famous to the one who is pictured.

I want to be famous to shuffling men
who smile while crossing streets,
sticky children in grocery lines,
famous as the one who smiled back.

I want to be famous in the way a pulley is famous,
or a buttonhole, not because it did anything spectacular,
but because it never forgot what it could do.

Monday, May 20, 2019
Topic(s) of this poem: fame
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success