Ghazal-Akhtar Yeh Dil Bhi Aap Ka Bigra Huwa Nawab Hay Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Akhtar Yeh Dil Bhi Aap Ka Bigra Huwa Nawab Hay

Rating: 5.0


Mana ke roshini teri taron main lajawab hay,
Akhtar-e-sham bujh bhi ja aamade mah-e-tab hay.
Kaisi giran muhabbaten jane kahan lutai haiyn,
Akhtar yeh dil bhi aap ka bigra huwa nawab hay.
Aariz damak ke kah gaye, naguftahaye raz-e-dil,
Akhtar tumhare dost ka chehra khuli kitab hay.
Akhtar tumhem quasam meri jao na aaj rat tum,
Kali ghataen chai hain, mausam bara kharab hay.
Akhtar yeh lams-e-aatisheen jam-o-subu men bhi nahin,
Ek ahmareen sharab hay ya ghuncha-e-gulab hay.
Akhtar baja hayn aap bhi lekin zara bataiye,
Peshani aap ki huzoor keyun aaj aab aab hay.
Akhtar barha to hat gaye, Akhtar khincha to aaye pas,
Keya dilnasheen yeh khel hay, kitna haseen sarab hay.
Akhtar tumhen jo jeena hay to khawab dekhte raho,
Ke zindagi woh khawab hay jo khawab bin azab hay.

Friday, April 18, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
An old Urdu ghazal.
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 23 August 2016

bahut khoob.......... bahut khoob janab 10+++

0 0 Reply
M Asim Nehal 21 September 2015

Kya baat hai................Akhtar tumhen jo jeena hay to khawab dekhte raho, Ke zindagi woh khawab hay jo khawab bin azab hay. Is khayal ke liye 100 on 10.

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 21 September 2015

Ek khoobsoorat mutasir kun ghazal................................10

0 0 Reply
Khalid Saifullah 06 February 2015

A beautiful ghazal...................10

0 0 Reply
Abdulrazak Aralimatti 05 January 2015

I liked it I like urdu gazals

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success