Gum Se Pyar Karo.... Poem by abhilasha bhatt

Gum Se Pyar Karo....

Rating: 5.0

Gum to akhir gum hai..
Anchaha mehman hai..
Binmange deke jane wala mehman hai..
Gum aansoo dene k lie badnam hai..
Magar hum ek bat se anjaan hai..
Aansoo gum nhi khushi ki chahat deti hai...
Gum to hame sabak deta hai...
Zindagi k har imtehaan main paas hone ka sabab deta hai...
Gum to hamare khud k aur kareeb ane ka bahana hai...
Gum zindagi k rango k mayane batata hai...
Gum apnon ko aur karib lata gai...
Gum gairon ki pehchan karata hai...
Khushi to do pal ki saathi gai...
Gum zindagi bhar saath nibhata hai..
Khushi to manzil hai...
Gum manzil tak pahunchata hai...
Gum muflisi k daur main saath nibhata hai...
Khushi ko apnaoge dil se to bewafaa sanam ki tarah saath chod jaegi….
Gum to saath hai khuda ka har rang main har noor main sath nibhayegi...
Khushi khuda se door lekar jati hai...
Gum khuda k karib bahut karib lekar jata hai...
Gum se na daro...
Gum se pyar karo...
Kyunki gum hi hai..
Jo saath umrbhar saath deta hai ….
Bina kisi chahat k...

Thursday, December 3, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 03 December 2015

'Gum aansoo dene k lie badnam hai.. Magar hum ek bat se anjaan hai.. Aansoo gum nhi khushi ki chahat deti hai... Gum to hame sabak deta hai...' Ye line e mujhe sachme bohut khubsuraat lagi... Gum aur khushi inke bare me aap ne ek bohut hi umda kavita likhi hai Abhilasha.. Sukhriya isse humare saath baat ne ke liye..

1 0 Reply
Shakil Ahmed 03 December 2015

beautiful title nice flow of rhythm, thanks for sharing a beautiful lyric

0 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success