If After I Die. Fernanado Pessoa In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

If After I Die. Fernanado Pessoa In Hindi/Urdu Translation

agar mere marne k baad
vo meri jeevan katha likhne lagay
to hogi ye bahut saral
sirf do din hi hoN gay is main -
janam aur maut k din.
DonoN k beech saray din mere thay.

BaDa asaan hogais ko likhna.
Mera jeevan ek paagal-pan tha.
Har cheeze se pyaar tha bina jazbaati se
Koi aisi tamana na thi jo poori na hue
kyon k mera sar mere kandhoN pe tha.
aise hi sun-na mere liye
dekhne ka ek saathi tha.
Mujhe khoob samaj the har cheeze doosri se mukhtalif hoti hai
Main un ko dekh kar ye samja, sirf soch kar hi nahin
Sochta to har cheeaz ek doosray jaisi lagti.

Ek din muje bachay ki tarah khoob neend aayi
Aankhain bund kar leeN aur main so gaya.
Aur ye bhi k main shaair kudrat ka tha.

This is a translation of the poem If, After I Die by Fernando Pessoa
Wednesday, December 19, 2018
Topic(s) of this poem: life and death
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success