Imkan Nazar Aate Nahin Deedaar Ke Poem by Suhail Kakorvi

Imkan Nazar Aate Nahin Deedaar Ke

Ghazal,
Ismen kuch imka'n nazar aate nahin deedaar ke
Kar liye hain usne phir wade wahi sau baar ke
Jeet par jinko yaqi'n hota nahin unke liye
Jeet men pahlu nikal aate hain aksar haar ke
Meri palken, honth mere, dil tarotaza hua
Khoob the andaaz tere ishq ke izhaar ke
khushbuon ke halqaye nazuk men hai mera wajood
Sehne dil men phool khilte hain tere iqraar ke
Nazuki tab himmaton ke rang barsane lagi
Phool ne yun hausle tode chaman men khaar ke
Usne meri aarzu ka khu'n kiya acha kiya
Likh diye maine fasane aarize gulnaar ke
khwahishon se meri takrate hain pad jaate hain sard
jo sharare hain tumhare jisme sholabaar ke
Jinse nayaabe mohabbat mil na payi kya karen
Kitne hi chakkar lagaye hamne kue yaar ke
Jaa'n pe ban aayi mohabbat ko nibhane men Suhail
Sau to nakhre hain khuda rakhe mere dildaar ke
Izhaar=wyakt karna, Halqaye nazuk=komal ghera, wajood=Astitwa, Aarize gulnaar=Lal gaal, , Sard=thanda, Sharare=chingariyan, Sholabaar =Aag barsane wala shareer, Jinse nayaabe mohabbat=Prem ki durlabh samagri, , kue yaar, Preyasi ki gali,

Wednesday, May 13, 2015
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success