Is Duniya Se Kyon Hai Pyar/(Hindi/Urdu) Poem by Aftab Alam

Is Duniya Se Kyon Hai Pyar/(Hindi/Urdu)

Rating: 5.0

Is duniya se kyon hai pyar mujhe, mere khudaya,
Dil tuta kisi ka kabhi to kyon mujhko rulaayaa,
Teri banaii duniya ko ham kya banaa diye,
Jo Charaag jal raha the use ham bujhaa diye,
Andhere me bhatak gaye hain jaraa rasta dikhaa,
Nafraton ko mitane ka tariqa tu sikhaa,
Insaan hain haiwaniyat ki had paar kar gaye,
Tere wajod ko bhi ham inkaar kar gaye,

Tere siwa koi nahi malik hai jahaan me,
Mere siwaa koi nahi badkaar jahaan me,
Imaan ki chaadar se ya rab mujhko bachaale,
Gunaahon se rok mujhe warnaa wapas tu bulaale,

Saturday, August 23, 2014
Topic(s) of this poem: nature
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success