Kashkol Poem by Akhtar Jawad

Kashkol

Rating: 5.0

Aiy bhikhari bata tere kashkol mein,
yeh jo sikkey chamakte hayn kisne diye,
ismein Adam bhi hay ismein Hawa bhi hay,
ismein masoom si unki taqseer bhi,
ismein uriyan si ek unki tasweer bhi,
aur phir tan ko patton se apne chupaey,
wuh nadamat bhari unki tahreer bhi,
Unka milna bicharna, bichar kar wuh milna,
unke aanso bhi hayn aur tabassum bhi hayn,
ismein to Noah ki ek kishti bhi hay,
ismein toofan bhi zindah insan bhi,
khoon mein dorta ek shaitan bhi,
ismein Budha ki nikli hui paslian,
ismein Krishna ki bajti hui bansian,
ismein Ram aur Sita ka banwas bhi,
ismein Moosa ka jalta hua toor bhi,
ismein jannat se utri hui hoor bhi,
Ismei Issa ki chahat ka manshoor bhi,
inhi nooron mein faran ka noor bhi,
han Muhammad ka bhi ismein hay aitdal,
tu bhula kar jise ban geya hay sawal!

Teri kashkol mein aise sikke bhi hayn,
jinmein satrangi dunya ki naqsh hay saqafat,
yeh insani tehzeeb ke hayn jo aasar,
nazakat, latafat, shararart, muhabbat,
yehi husn hay yehi zindigi hay,
yehi ishq hay yehi bandigi hay,
inhein keyun mitane pe tu tul geya hay,
inhi mein to fitrat ka ras ghul geya hay,
Yeh jo tasweerein sikkon mein dhali gayeen,
Yeh to teri hi tasveerein hayn bekhabar,
aur toone inhein aag mein nafraton ki,
aaj pighla diya khoin tasveerein jab,
ban gain chand saffak shamsheerien tab,
dhat ka jism to tune pighla diya,
rooh zindah hay zindah rahegi sada,
ek din inse sikke banen ge naye,
teri kashkol khali na rah payegi,
teri kashkol mein gar khala ban gai,
in khalaon mein tu khud hi kho jayega,
dhoondhta tu phire ga panahon ko aur,
tu haram mein bhi bachne nahin paega!

Wednesday, September 23, 2015
Topic(s) of this poem: suicide
COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 27 September 2015

Imaginative and emotive poem nicely penned. My favourite line is....rooh zindah hay zindah rahegi sada, .....10

0 0 Reply
M Asim Nehal 24 September 2015

Kya baat hai Janab................Sagar ko ghagar mein samet liya aapne...Sari kaynat ki ek jhalak pal bhar mein dikhladi............Another Masterstroke

0 0 Reply
Khalid Saifullah 23 September 2015

A really thoughtful poem........................................

0 0 Reply
Close
Error Success