Kaun Ho Tum? ? ? Poem by M. Asim Nehal

Kaun Ho Tum? ? ?

Rating: 5.0

Muddat se dekhta hoon tumhe
Jaanta nahi hoon, Kaun ho tum

Kab aaye, kis liye aur kya chahte ho
Lagte to apne ho, Kaun ho tum

Darr lagta hai, kahin chod na jaao
Dil laga baiThoon to tod na jao
Kash ma kash mein hoon
Kaise tumhe bataoon, kaun ho tum

Aitbaar karke, dagha khaa bhi chuka hoon
Sukoon-e dil ko aazma bhi chuka hoon
Khoon se darta hoon,
Dil ki dhadkan kya sunaoo, Kaun ho tum.

Khwabon ne kuch, bhadka sa diya hai
Dabi Aarzoo ko ek shola sa diya hai
Sailaab se darta hoon,
Tut na jaaye armaan, Kaun ho tum

Ab to parde se bahar chale aao
Kab se chupa hai chand
Jalwa to dikhao
Badal ki ad mein kya kuch kar rahe ho
Kaun ho tum…..

Monday, October 10, 2016
Topic(s) of this poem: life,mysterious,philosophical
COMMENTS OF THE POEM
Aarzoo Mehek 12 October 2016

Kitne sawal karte ho Asim..wo bhag jaigi tumhare sawalon se... Wo jo bhi hai tumhare dil ke kissi kone main chupi hai... Bohot hi achi aur sachi tehreer... maza aagaya aprh kar... Jab pata mil jaai to hum sab ko batana zaroor: D Dher saari daad aur dua..100++++ is khoobsurat nazm ke liye.

2 0 Reply
Kumarmani Mahakul 11 October 2016

Ab to parde se bahar chale aao Kab se chupa hai chand Jalwa to dikhao Badal ki ad mein kya kuch kar rahe ho Kaun ho tum….. Fatastic depiction. Enjoyable one...10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success