Kavita - Meri Preyasi - I Poem by ramesh rai

Kavita - Meri Preyasi - I

Aei meri preyasi saath nibhana
jaoonga n tumko chhodkar ab
neet naye sabdo mein bandhkar
aajaana tum meri juban par
ambar pada hai shabdo ka
eis dhara mein amit khajana
kahin french, kahin malyalam
kahin rusi, kahi japani
kain bangali kahin punjaabi
kahin arabi, kahin farasi
kahin hindi, kahin angrejee
kahin maithili, kahin bhojpuri
kitna main naam ginaun
kitne hain ambar pade
bas tum meri kavita bankar
pure viswa mein chha jana


Kavita ka main shringaar karun main
vigyan bhi tumse n rahe achhuta
har pushp pushp aur kali kali mein
gyan ka deep jala jana
nav mandal ko paarkar
chandra surya tak pahunch jaana
Aei meri Kavita
mujhse roothkar mat jaana

Main bhi thaa lachaar kahin
paristhitiyon par thaa vijay pana
ab to vijay ka
aa raha hoon tere aalingan mein
bas tujh se door tum mat jaana
ye mera aamantran hai

tum chetna ki gaharayee bankar
jan manas mein chaa jana
avani se ambar tak
chha gaya ek haadasa
tum meri kavita ho
saj dhaj kar tum aajana
ye viswa tumhara prem kunj hai
dekho kitne chahane wale
har kone mein chhupa hua hai
kuchh n kuchh madakta hai
tum jis ghar mein kadam rakhogi
wah ghar tumhara apna hai
tum meri lekhni bankar
vishwa samday ko harsha jaana

Aiesi koi baat nahi ki
ghar mera pura nirmal hai
kahin garibi, kahin lachari
kahin bhukhmari, kahin beimani
kahin ashikhsa, kahin bimari
yeh ghar to tumhara apna hai
tumko ye sab door bhagana hai
pure vishwa ki shaanti bankar
khushiyon mein chha jana hai.

COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 10 August 2013

Very Beautiful Kavitha. I loved reading each lines. Super write. Aei meri kavitha mujhse rooth kar math jaana.

1 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success