Khoobsoorti Aur Mohabbat (Beauty And Love) Poem by Ravi Kopra

Khoobsoorti Aur Mohabbat (Beauty And Love)



bahaaraiN tere gaal choom rehi haiN
sundar pawan tere mummay cHoo rehi hai
mohabbat aa rehi hai
din bhar, haftay bhar tum ko chah rehi hai

tumain main bhi cHoo loon is ki izzazat do
meri bun jao tum ye meri ibbabat hai
hamesha k liyay bun jao tum meri
mohabbat na bikhray kabhi ye meri ibbabat hai

chalain hum jahan phool khiltay hain
jahan mohabbat hi mohabbat hai
janah khoobsoorti
har cheez main hai

jab pariaN tum ko dekhti hain
gaanay gaatay naach karti hain
teri khoobsoorti pe mar jaati hain
har taraf khushali bikharti hai

khoobsoorti khatm ho jaati hai
lakin mohabbat hamesha rehti hai
dukh ho ya nafrat ho
mohabbat hamesha jitaaey rakhti hai

This is a translation of the poem Beauty And Love by Colonel Muhamad Khalid Khan
Sunday, October 13, 2019
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success