Khwab Aur Unke Safar.. Poem by abhilasha bhatt

Khwab Aur Unke Safar..



Sabke dil main hazaaron khwaab palte hain
Kuch badte hain
Kuch sanwarte hain
Kuch nikharte hain
Kuch mukammal hote hain
Kuch peeche choot jaate hain
Kuch naye sire se bunte hain
Kuch purani silai ki tarah udhad jaate hain
Kuch rooth jaate hain
Kuch manaane par maan jaate hain
Kuch aasmaan main ud jaate hain
Kuch milte hain
Kuch bichadte hain
Kuch zindagi k aasmaan main taare ban jaate hain
Khwaab aur unke safar shayad kuch aise hi hote hain..

Wednesday, January 13, 2016
Topic(s) of this poem: dream,journey,life
COMMENTS OF THE POEM
Rishi Thakkar 13 January 2016

Khwabo ki duniya.. Hote divya moti isme.. Khushi aur utsah milta har insaan ko jisme.. Aisa kaash ho jaaye har khwab poora ho jaaye Har insaan kitna khush hoga.. Dard usko na mehsus hoga.. Par fir kavita kaise sajegi Chocolates yaar dard bhi pyara hai..Kuch khwab adoore ki acche hai

0 0 Reply
Rajnish Manga 13 January 2016

जो ख़्वाब हम देखते हैं, वे कितनी तरह के होते हैं? उनका क्या क्या अंजाम हो सकता है? इस तरह की बातों का इस कविता में सुंदर चित्र खींचा गया है. लाजवाब अभिव्यक्ति. कुछ उद्दरण: Sabke dil main hazaaron khwaab palte hain Kuch purani silai ki tarah udhad jaate hain Kuch zindagi k aasmaan main taare ban jaate hain

0 0 Reply
M Asim Nehal 13 January 2016

Wah wah...Kya haseen Khwab hain...10++++ Outstanding poem.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success