Maine Odh Li Malmal Ki Sari Mun Ki Ganga Mein Nahata Ja Poem by Akhtar Jawad

Maine Odh Li Malmal Ki Sari Mun Ki Ganga Mein Nahata Ja

Rating: 5.0


Uska Sandesh
Phir chand sitare madham hayn har rat inhein chamkati hoon,
Phir barf jami hay pahadon pe, inhein apni dhoop dikhati hoon,
Phir Jamna ka pani thanda hay, main pani mein aag lagati hoon,
Phir Ravi ka roop hua pheeka, main sindh ko bhi garmati hoon,
Madhuban mein Radha bekal hay phir apni murli bajata ja,
Maine odh li malmal ki sari mun ki Ganga mein nahata ja.

Mera Jawab
Phir aai basant khili sarson, ritu aai milan ki mil le wuhan,
Wuh nahar abhi bhi bahti hay han pani kutch kam hay yehan,
Wuh thandi sadak tujhe janti hay chup chup kar milte they jahan,
Dil tera ho ya mera ho baqi hayn abhi tak apne nishan.
Lahore agar kutch badla hay Dilli bhi to badli badli hay,
Dekho hum dono badle nahin main pagla hoon tu pagli hay.

Wuh
Hum boodhe hue to keya dukh hay apni purani preet wuhi,
Balon mein chandi chamakne do mun bhi wuhi munmeet wuhi,
Hum ek hi dhun mein bajte hayn sur bhi wuhi sangeet wuhi,
Hum door bhi ho kar gate hayn Khusro ke suhane geet wuhi,
Main ab bhi peyasi dharti hoon tu badal banker chata ja,
Maine odh li malmal ki sari mun ki Ganga mein nahata ja.
Main
Hum door bahut aa nikle hayn yeh mausam aate jate hayn,
Yeh bhi bahut ek dooje ki awazein to sunte jate hayn,
Main auor tum na jane keyun un geeton ko dohrate hayn,
Rona keyun acha lagta hay keyun sath nahin hans pate hayn,
Chadar to meri badal gai per rang mein tere rang li hay,
Dekho hum dono badle nahin main pagla hoon tu pagli hay.

Hum
Hum peyar ko zindah rakhein ge hum aage badhte jayen ge,
Hum daryaon ke pawan dhare hum unhi bahte jayen ge,
Hum ayse aansoo bahayen ge jo moti bante jayen ge,
Hum unhi gate jayen ge hum yunhi likhte jayen ge,
Maine odh le malmal ki sari, mujhe chadar odh ke sone de,
Sapnon mein milte hayn kahin jo ho na saka wuh hone de.

Saturday, January 30, 2016
Topic(s) of this poem: dreaming
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 01 February 2016

'Dil tera ho ya mera ho baqi hayn abhi tak apne nishan. Lahore agar kutch badla hay Dilli bhi to badli badli hay, Dekho hum dono badle nahin main pagla hoon tu pagli hay.' Akhtar ji, bohout sahi kaha apne, kya Lahore, kya dilli, mohabaat to insaan hi karta hai, aur insaan to bas ek hi hota hai.. Kya ho sarhaad, kya ho duriyaan, mohabaat aur kavita, har jaga bas ek hi hai.. Aman aur mohabaaat, bas yahi chahiye duniya ko.. Bas thodi si khushi, thodi si shanti.. Aankhon me nami bhar gayi isse padhte hue.. Sukhriya..

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 31 January 2016

An amazing poem, I love it.................

1 0 Reply
Rajnish Manga 30 January 2016

It looks like a multi-cultural musical sequence enacted on the stage aimed at reviving the age old ties bathed in the spirit of love and understanding. Great presentation, Akhtar Jawad Saheb: लाहोर अगर कुछ बदला है दिल्ली भी तो बदली बदली है देखो हम दोनों बदले नहीं मैं पगला हूँ तू पगली है हम दूर भी हो कर गाते हैं ख़ुसरो के सुहाने गीत वही हम एक ही धुन में बजते हैं सुर भी वही संगीत वही

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success