Makaam Aate Hain.. Poem by abhilasha bhatt

Makaam Aate Hain..

Rating: 4.8

Zindagi ki raahon main
Kitne anginat makaam aate hain
Kain log aate hain
Kain log jaate hain
Kitne ghar khali hote hain
Kitne maalik makaan aate hain
Koi ghar ki deewaron par chaap chode jaate hain
Koi dil ki deewaron par tasveer bana jate hain
Kuch zindagi ki raahon main milte hain
Kuch bas yaadon main kaid hokar rejate hain
Kuch pyar dejaate hain
Kuch pyar ki saugaat lejaate hain
Kahin Kuch hisse choot jaate hain
Kahin kuch kisse choot jaate hain
Kuch waqt k sath bhool jaate hain
Kuch waqt k baad bhi yaad aate hain
Zindagi ki raahon main
Kitne anginat makaam aate hain

Thursday, January 28, 2016
Topic(s) of this poem: life,memory
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 31 January 2016

Aate hai jo le ke diya Jaate waqt kar jaate hai andhera Khushiyo me rehte hai sab saath Mushkilo me koi pass nahi hota Tera ye kya fasana hai maula Ke tutne ke baad bhi dil unse khafa nahi hota... Bohut hi khoobsurat kavita hai Abhilasha.. Sukhriya.

0 0 Reply
M Asim Nehal 30 January 2016

Zindagi chalne ka naam hai aur is safar mein anginat maqamat aate rahenge aur guzarte rahenge....Kya khoobsoorat nazm hai....

1 0 Reply
Kanav Justa 30 January 2016

This poem of yours is definately unforgettable.. Well penned.

0 0 Reply
Mithilesh Yadav 28 January 2016

Wisely penned...... simple yet deeper thoughts....... thanks for sharing

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success