Marriage (Wrecked In Disaster) , An English Poem By Nicole Callihan In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Marriage (Wrecked In Disaster) , An English Poem By Nicole Callihan In Hindi/Urdu Translation

shaadi

aur is k baad kya hua main itna hi kahunga
k barish itni hue ghaas bahut baDa ho giya
aur meri saari chahat kam hoti chali gayi

aaj subah main baraf se laddi sarak k kinare
chandani main chamak raha hoon jaise shaadi se pehle tha
aur araam se prem se chalta firta tha
lakin kal main yudh k raaste pe tha
aur bhankar jaanwaron ke paon k neechay tha

tu ne meri aankh main doohaN dal kar shaadi main fisaya
chalo main aaj tumain aasman main spacewalk k leay le jaooN
aur tumare moonh main guD aur laddo dalooN
aur tumare naakhooN se ghoDon k baal door karoon
jo phas gaye the un ke neechay farm house ki honey moon raat main
main ab miluN ga tume chooni ki devar k cHaey main
salooN tak meri kamar main kuch toDa sadard tha
aur ab mere safed badan pe kali berrian dikhai deti hain
ab main pioneer hoon, ek un-dekha purush hoon
meri lassi si bun gayi hai, main chup chap hoon
ma ki tarah hoon, aasmaan main khoee koi aatma hoon
maaf kanra muje tabah karne wali, mujay khatam karne wali
meri moti beewee tu ne muje kapde nichoDne ki machine main daal diya hai
meri kabar par ab ghason k dher ugay hue hain
main ne tume pechana na tha
main ab ek anday k chilke jaisa ho giya hoon, pani main ghulne wala rung ho giya hoon
paani ka khali pipe ho giya hoon aur albida albida hamesha mere sonay k kapDo ko
ab main har raat seahorse ki tarah tumare garam badan ki parat k andar jata hoon
aur lakDi ki frame main laggi ghaDi tick-tick karti rehti hai
aur tum ek gambal se moorakh meri sar dard ho
tum meri peeth ki sub se neechi haddi ho, meri saji rooDan ho, mera khata nimbu ho, jelly bean ho
meri chllak, mera jawaab katoti, mera kinara cHnakaD karne wali
main ne tuj se shaadi ki hai aur karte samay kaha hai - main tum se shaddi karn chata hoon, chata hoon, chata hoon...

Monday, February 19, 2018
Topic(s) of this poem: disaster,marriage
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Marriage

& of the lattermath I can only say
that with the rain the cattails grew so high
that the longing nearly subsided
this morning I am all moonshine on the snowbank
clockwise back to a better self I am
tenderfoot daisywheel though yesterday I was
warpath and daydreams of underfoot animals
o my fishhook in sheepskin I want
to spacewalk in time with you to teaspoon
sugar into your mouth to clean horsehairs
from under your fingernails honeymoon
of the longhouse I'll meet you on the shadyside
of the limestone for years I grew lukewarm
with a backache but now I am whitefish
and blackberries I am forbearer and undercurrent
buttermilk and motherhood watertight thunderbird
forgive me my wipeout my deadend and foremost
forgive me my butterball my washrag wrung out
the grasslands of the graveyard I nearly misrecognized
what I almost became eggshell watercolor
drained pipe goodbye o my forever bedclothes
yours is the body warmblooded washbowl
that I seahorse into night after night and the dogwood
timepiece ticks the gumball fruitcup earache of our girls
you my wavelength my tailbone lemonlime jelly bean
crewcut backstroke beachcomber I do I do.

-Nicole Callihan
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success