Mirza Ghalib's Ghazal; Dil-E-Nādāñ Tujhe Huā Kyā Hai In English Translation Poem by Ravi Kopra

Mirza Ghalib's Ghazal; Dil-E-Nādāñ Tujhe Huā Kyā Hai In English Translation



What is the matter with you, my innocent love?
What cure is there for your sorrows, my love?

I desire you and you turn away
O Allah, tell me what's wrong with my love

I can tell you plainly pretty well
Ask me what wrong I've done to you, my love

There is no one here beside you
Why all the mayhem then? Tell me for God's sake, my love

Why are your tresses curled up and scented today?
Why kohl on your lashes today? Tell me why, my love

You've green-leaved roses. Where did they come from?
On a breeze from the clouds? Tell me, my love

I was hoping you'd be faithful to me
What faithful! says to me my love

Be a well wisher and people will wish you well
What more a saint could say, tell me my love

I am ready to sacrifice my whole life to you
But don't know how to pray to get back my love

'Ghalib' knows well he isn't worth anything
Why not get him? He is free for you, my love

***

dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā hai

ham haiñ mushtāq aur vo be-zār
yā ilāhī ye mājrā kyā hai

maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñ
kaash pūchho ki mudda.ā kyā hai

jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
phir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai

ye parī-chehra log kaise haiñ
ġhamza o ishva o adā kyā hai

shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuuñ hai
nigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai

sabza o gul kahāñ se aa.e haiñ
abr kyā chiiz hai havā kyā hai

ham ko un se vafā kī hai ummīd
jo nahīñ jānte vafā kyā hai

jhaañ bhalā kar tirā bhalā hogā
aur darvesh kī sadā kyā hai

jaan tum par nisār kartā huuñ
maiñ nahīñ jāntā duā kyā hai

maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ 'ġhālib'
muft haath aa.e to burā kyā hai

-Mirza Ghalib

Tuesday, March 19, 2019
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success