Mirza Ghalib: Ishq Ne 'ġhālib' Nikammā Kar Diyā In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Mirza Ghalib: Ishq Ne 'ġhālib' Nikammā Kar Diyā In Hindi/Urdu Translation



Srangers in the bar are sipping their wine
I'm sitting here with parched lips waiting for my mail

I complained to that you I was tired
But you tricked me under the open blue skies

Nothing to write, yet I sent you a letter
What more can I say that I love you always

At the holy water well in Kaba I drank wine all night
And washed my stained long dress for the pilgrimage

My heart was captivated by your beauty
It's in chains now all beacuse of you

The faqeer has found where the shower is
Let's see what happens to the bath room for days

Love has destroyed 'Ghalib' fully
He used to be a man of deeds, always.

***

MIRZA GHALIB

ġhair leñ mahfil meñ bose jaam ke
ham raheñ yuuñ tishna-lab paiġhām ke

ḳhastagī kā tum se kyā shikva ki ye
hathkanDe haiñ charḳh-e-nīlī-fām ke

ḳhat likheñge garche matlab kuchh na ho
ham to āshiq haiñ tumhāre naam ke

raat pī zamzam pe mai aur sub.h-dam
dho.e dhabbe jāma-e-ehrām ke

dil ko āñkhoñ ne phañsāyā kyā magar
ye bhī halqe haiñ tumhāre daam ke

shaah ke hai ġhusl-e-sehhat kī ḳhabar
dekhiye kab din phireñ hammām ke

ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyā
varna ham bhī aadmī the kaam ke

Monday, April 1, 2019
Topic(s) of this poem: love,wine
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success