My Heart's Desire, An Urdu Poem After Nushur Wahidi Poem by Ravi Kopra

My Heart's Desire, An Urdu Poem After Nushur Wahidi



mere dil ki tashangi
meri naseem-e-zindagi
tere mujassam main dilkashī lagti hai
tere kale gesu-e-pur-Kham main
husn ki khushi cHupi lagti hai
is kali raat mere dil main
kuch aag si lagi dikhti hai
mire dil-e-bimar ka mudaava
ab tere hathoN main hai
diya to jal chuka hai
magar mera dil baar baar jalta hai
dunia ab kuch aalam-e-diigar si lagti hai
'Ravi' ka dukh kisi ko maluum nahin
khamosh hai bolta kis se nahin
uske moonh se ab aahen nikalti hain

Friday, March 2, 2018
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
na.ī duniyā mujassam dilkashī ma.alūm hotī hai
magar is husn meñ dil kī kamī ma.alūm hotī hai

hijāboñ meñ nasīm-e-zindagī ma.alūm hotī hai
kisī dāman kī halkī thartharī ma.alūm hotī hai

mirī rātoñ kī ḳhunkī hai tire gesu-e-pur-ḳham meñ
ye baḌhtī chhāñv bhī kitnī ghanī ma.alūm hotī hai

vo achchhā thā jo beḌā mauj ke rahm o karam par thā
ḳhizar aa.e to kashtī Dūbtī ma.alūm hotī hai

ye dil kī tishnagī hai yā nazar kī pyaas hai saaqī
har ik botal jo ḳhālī hai bharī ma.alūm hotī hai

dam-e-āḳhir mudāva-e-dil-e-bīmār kyā ma.anī
mujhe chhoḌo ki mujh ko niiñd sī ma.alūm hotī hai

diyā ḳhāmosh hai lekin kisī kā dil to jaltā hai
chale aao jahāñ tak raushnī ma.alūm hotī hai

nasīm-e-zindagī ke soz se murjhā.ī jaatī hai
ye hastī phuul kī ik pañkhuḌī ma.alūm hotī hai

jidhar dekhā 'nushūr' ik ālam-e-dīgar nazar aayā
musībat meñ ye duniyā ajnabī ma.alūm hotī hai

-Nushur Wahidi
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success